Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Responsive Advertisement

Amazon Affiliate account kaise banaye hindi me.


Amazon Affiliate account kaise banaye aur usse paise kaise kamaye.



How do an create Amazon associates account? 


Vaise to aapne online earning karne ke bahut se methods ke bare me jana hoga jaise blogging, youtube per video banana etc lekin inme se kafi popular tareeka jo hai vo hai Affiliate Marketing se earning karna. Jiske liye kuch websites jaise Amazon, Filipcart etc per apna Affiliate account banana padta hai uske baad  aap yaha se apni earning start kar sakte hai. 
Affiliate Marketing se earning karne ke liye aapko in websites per affiliate ka account banane ke baad inke products ko sell ( vechna ) padta hai agar aapke dvara bataye gaye products ko koi buy karta hai to aapko uska 5 - 10 % commission milta hai aur kuch products per yah commission 4% tak  milta hai. 

Aage me is post me batane wala hu ki aap Amazon website per apna affiliate associate ka account kaise bana sakte hai aur uske liye kin kin cheezo ki jaroorat padti hai. 



Amazon Affiliate Account Kaise Banaye.


Amazon program per affiliate account banane ke liye aapko kuch important cheezo ka hona bahut jaroori hota hai jaise aapki ek E-mail id aur uska password ka hona bahut jaroori hai iske alava aapka facebook per account ya fir koi Youtube channel hona chahiye agar aapki koi website ya khud ka koi app hai tab bhi aap Affiliate account ko bana sakte hai. 

Affiliate account banane ke liye aapko sabse pehle Amazon.com per Username, E-mail aur password ki madad se Amazon per apna ek account bana lena hai jaise hi aap account bana lete hai tab uske baad aapko 'Amazon Associates Create Account' itna aapko google me type kar dena hai vaha se aapko 1st wali website ko open kar lena hai vaha aapko Join and Click here wale option per chale jana hai.
Uske baad aapke samne ek Application form open ho jayega jisko aapko fill karna hai application form me aapse niche di gayi kuch information puchi jayengi Jaise - 

1. Payee Name - isme aapko apna name fill kar dena hai.
2. Address Line - aur fir isme aapko apna address ko fill kar dena hai. 
3. City - isme aapko apne shahar ka name fill kar dena hai. 
4. State - is wale option me aapko apne state ka name fill kar dena hai jaise mera state Utter pradesh hai. 
5. Portal Code - isme aapko apna 6 digit ka postal code bhar dena hai. 
6. Phone Number - is option me aapko apna chalu phone number ko bhar dena hai.

Itna sab fill karne ke baad aapko Next ke option per click kar dena hai. Jiske baad aapke application form ka second chapter open ho jayega jisme aapko apni website ka Url ya fir apne android application ka Url ko fill karna padega. Agar aapke paas apni koi website ya fir android app nahi hai to aap yaha per apne facebook page ka link ya fir apne Youtube channel ka link bhi bhar sakte hai agar aapke paas yah bhi nahi hai to aap ek free me website banakar uska Url bhar sakte hai.
Itna sab fill karne ke baad aapko Next wale option per click kar dena hai. 
Jiske baad aapke application form ka 3rd chapter open ho jayega jisme aapko apni website se related kuch information bharni padengi jaise - 

How do your drive traffic to your website ? :-

Isme aapko apni website ke bare me batana hoga ki aapki website per traffic ( visitors ) kaha se aata hai aap yaha per SEO, Social Media etc jaise option ko select kar sakte hai.

How do utilize your website, apps to generate income? :-

Isme aapse pucha jayega ki aapki website ya app per income ke source kya kya hai. Jisme aap Google Adsense  ko select kar lenge.

How do you usually build links? :- 

Isme aapse pucha jayega ki aap apni website ki link ko kaise banate hai is option me aap HTML Editor ko select kar lena.

How many total unique visitors do your websites and apps get per month? :-

Isme aapse pucha jayega ki aapki website ya app per ek month me kitne visitors ate hai to isme aap apne hisaab se  bhar sakte hai jaise meri website per ek month me 500 - 5000 total visitors  aate hai.

What is your primary reason for joining the Amazon associates program? :-

Isme aap 'Usefull content for my site' wale option ko select kar sakte hai.

How did you hear about us? :-

Isme aapko batana hoga ki aapko Amazon Associates ke bare me kaha se pata chala to aap isme 'Blog Post' ya 'online search' wale option ko select kar sakte hai.


Iske baad vha per diya gaya Captcha bhare aur unki Term and Conditions ko select kare uske baad Finish per click kar de. Itna karne ke baad aapka Amazon Affiliate account bankar ready ho jayega ab aap Amazon se product ko sell karvake paise kama sakte hai. 

Affiliate Marketing Se Earning Kaise Kare :-



Amazon affiliate marketing se earning karne ke liye aapko apne amazon associates account per login ho jana hai jisme kisi bhi product ko select karke uske link ko copy kar lena hai aur
social media platform jaise Facebook, Youtube etc per paste karke share karna hai aur usko sell karvana hai. 
Agar koi bhi aapki us link per click karke us product ko khareedta ( buy ) karta hai to aapko uska commission milta hai aur agar koi bhi clint aapki us link per jakar kisi dusre product ko bhi buy karta hai tb bhi aapko commission milta hai jaise mene Apple iphone 7 ko share kiya agar koi meri us link per jata hai aur Apple iphone 7 ko na khareedkar samsung company ka phone khareedta hai tab bhi mujhe commission milega.
To kuch is tarah se Amazon se earning hoti hai. 

To dosto aajka yah post keval itna hi hone vala hai milte hai kisi new post ke saath tab tak ke liye Jai Hind Jai Bharat.

Agar aapki koi query ya koi question hai to aap comment section me puch sakte hai me aapko 24 hours me answer de dunga.

Agar aapko Affiliate marketing ke bare me bahut kuch janna hai to aap iski book bhi buy kar sakte hai niche mene uska link diya hua hai. Aap amazon se online is book ko khareed sakte hai.




Post a Comment

0 Comments