Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Responsive Advertisement

Unacademy app per online kaise padhaye janiye puri jankari ke sath..

Unacademy per online kaise padhaye aur kaise usse earn kare janiye puri jankari is post me 




Hi friends kaise ho aap log i hope sabhi theek hi honge. Aaj ke is post me bataya gya hai ki 'unacademy app' per kis tarah se online pdha sakte hai. Aur kis tarah se aap is app ki madad se ya yu kahe ki is app per online teaching dekar achha khasa paisa earn kar sakte hai. Iski puri jankari hamari is post me di gayi hai. 

Sabse pehle 

Kya hai unacademy ( what is unacademy. )

Basically unacademy ek Android application hai. Jise aap simply se Google ke playstore app se apne smartphone me install kar sakte hai. Yaha per unacademy ki two type ki application mojood hai ek to students ke liye aur dusri un logo ke liye jo log yaha per online padhana chahte hai. Jinke name kramsh: unacademy learning app and unacademy educator  app. Yaha learning app students ke liye hai. Is app per Jee, Neet and Upsc jaise comptative exam ke notes and video lectures provide karaye jate hai. 

Dusri aur unacademy educator app me online teaching di jaati hai. Jaha per teachers ko views and followers ke mutabik earning hoti hai. 


Kya kare Unacademy per padhane ke liye ( How to teach on Unacademy. )


Unacademy per padhane ke liye sabse pehle aapko apne mobile phone me google ke playstore app se 'Unacademy Educator' app ko install kar lena hai. Uske baad aapko Unacademy Educator app ko open karke yaha per aapko apna ek account create karna hai.

Unacademy Educator app per account kaise banaye ( How to create an account on Unacademy Educator app.)


'Unacademy Educator' app per account banane ke liye aapke paas sabse pehle ek Email id hona bahut jaruri hai agar nahi hai to aap gmail creater website per jakar apni ek Email id bana sakte hai.

Agar aapka already yaha per account bana hua hai to aap login vale option per click karke login kar sakte hai ya fir aap facebook se bhi signup kar sakte hai.


Account banate samay aapko koi bhi wrong information nahi deni hai. Sab kuch apne bare me sahi sahi bharna hai vichance aap galat information bhar denge to iski jyada possibility hai ki Unacademy aapko kuch dino baad nikal dega. 

Account banane ke baad ( After create an account on Unacademy. )


Account banane ke baad aapko 3 minutes ka demo dena hota hai. jiska result 24 hours ke baad aata hai. Aapki teaching skills ko check karne ke liye Unacademy ke kuch experts aapka 3 minutes ka demo lete hai. Jise demo class bhi kahte hai. Demo class dene ke liye aapko 3 minutes ki video banani padti hai jise basically online shoot kiya jata hai. 

Demo class ke liye kuch important tips ( Some important tips for demo class. )

• Aap jis paper per demo denge uska size A4 hona chahiye.
• Video shoot karte time uska ratio 16.9 hona chahiye.
• Aapki voice clearly record honi chahiye. 
• Likhne ke liye ball pen use karna chahiye. 

Iske alava kuch important tips aur hai jinhe aap 'Unacademy Educator' app per padh sakte hai. 


Demo accept ho jane ke baad kitni aur kaise earning hogi.




'Unacademy Educator' app per earning aapke dvara online upload ki gayi videos per aaye views ke anusaar hoti hai. Jaha tak mera anumaan hai 5000 views per 4000 rupees and 10000 views per 6000 rupees ki income hoti hai. Phir bhi ek baar aap Unacademy Educator app per jakar mention kar lena. Jab aapka demo class approve ho jayega tab aapko Unacademy ki taraf se earning se related sabhi guidelines show kar di jayengi.


Unacademy per padhane ke liye qualification. 


Unacademy peper padhane ke liye aapko kisi bhi degree ki jaroorat nahi hai bas aapki padhane ki skills achhi honi chahiye. Yaha per 10th & 12th ke baad bhi students ko padha sakte hai. Lekin aapko apne subjects ke bare me proper knowledge honi jaroori hai. Agar aap graduate hai to yah aapke liye achhi baat hai aap yaha per jaldi grow kar sakte hai. Lekin Unacademy yaha per aapse koi bhi certificate nahi maagta hai.



Unacademy per kitne type ke Educator hote hai. ( How many type of Educators on Unacademy. )


Unacademy per two type ke Educator hote hai. 
1_ Simple Educator 
2_ Star Educator 

Simple Educator vo hote hai jo unacademy ko shuru me join karte hai ya fir jinhe unacademy per jyada experience nahi hota hai. 
Aap jaise jaise unacademy per padhane lag jaoge aapke views and reviews students ki taraf se achhe aane lagte hai vaise vaise aapka level high hota chala jata hai aur aap ek Star Educator banne ki taraf badhne lag jate ho. 

Unacademy per experience achha ho jane per aapko unacademy ki taraf se ek mail aayega jisme ve log star Educator me convered hone ke liye kahenge. 

Agar aap star Educator banna chahenge to unacademy vale aapka live interview lenge uske baad aap ek star Educator ban sakte ho. Jisme ve aapki teaching skills ko check karenge.


Difference between Simple Educator and Star Educator. 


• Star Educator ki ek fix salary hoti hai jabki simple Educator ko unke upload kiye gaye lesson ke upper views ke aadhar per paise milte hai. 
• Star Educator ko Unacademy ke dvara bataye gaye rule ke aadhar per fix lesson per day upload karne hote hai jabki simple Educator apni marzi ke anusaar work kar sakta hai. 

unacademy educator, unacademy per kaise padhaye in hindi, unacademy se paise kaise kamaye, unacademy educator's salary

Post a Comment

1 Comments

Give your feedback and ask any questions.

Agar aapka koi question ho jo aap mujhse puchna chahte hai to aap comment karke puch sakte hai ham aapki comment ke liye interested hai aur ham uska jaroor reply karenge.