Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Responsive Advertisement

Blogger/wordpress per free me website kaise banaye.

Blogger ya wordpress per free me website kaise banaye :-


Agar aap bhi ghar bathe online earning karna chahte hai aur aapki writing skills badhiya hai to aapke liye Blogging sabse best option hai yaha per aapko apni knowledge ko apne experience ko ek website ke dvara logo ke saath share kar sakte hai jisse agar koi bhi person aapki us website per visit karta hai to usse aapki earning hoti hai. Yaha per aap koi ek website banakar uske liye Google Adsense se approval leke aap achi khasi earning kar sakte hai. 
Blogging karne ke liye aapko sabse pehle ek website banani padegi, website ko aap free me ya paise dekar bhi bana sakte hai to aaj is post me, Me aapko bataunga ki aap free me ek blog chalane ke liye website kaise bana sakte hai. 


Blogging per website kaise banate hai :-


Jyadatar website 2 platform ka use karke banayi jati hai. 
1. Blogger
2. Wordpress 

Yaha me aapko dono tareeko se website banakar bataunga.

Create website on Blogger :-


Sabse pehle baat karte hai blogger ki, to aapko blogger per website banane ke liye kuch data ka hona bahut jaroori hai jaise aapki ek G-mail id honi chahiye aur uska password aapko pata hona chahiye agar aapka G-mail account nahi hai to aapko pehle ise bana lena hai agar aapki G-mail id already hai to chaliye batate  hai ki aap blogger per free website kaise banaye. 

Blogger per free website banane ke liye aapko kuch niche diye gaye steps ko follow karna hoga jaise -
1. Sabse pehle aap www.blogger.com per jaye aur apni E-mail id se sign up karle. 
2. Uske baad aap Create your blogs per click kare.
3. Then uske baad apni E-mail id se login kare.
4. Create New Blog per click kare.

Itna karne ke baad aapke samne kuch is tarah ka interface dekhne ko milega -


Jisko aapko kuch is tarah se bharna hai-

1. Title :- isme aap apni blog ka title name likhna hota hai Jaise hamare blog ka title ALLTECH55 hai aur is per ham technology se jude post dalte hai.

2. Address :- address me aapko apni website ka URL likhna hota hai jaise apniwebsitekaURL.blogspot.com yaha aap Url kuch bhi de sakte ho jo aapko achha lage. Yaha aapki website ke piche blogspot.com likha aayega agar aap kisi website se domain kharedkar use blogger me apni website per add kar doge to aapki website se blogspot.com hat jayega.

3. Theme :- Theme me aapko bahut sari template di jati hai jisme se aapko apni bloger ke liye best theme ko choose kar lena hai.
Itna karne ke baad aapko Create Blog ke option per click karna hai Jiske baad aapki blog website ban kar ready ho jayegi. Itna karne ke baad Aapki blogger per free me website ban kar teyaar ho gayi hai.

Wordpress per free me website kaise banate hai :-


Wordpress blogging karne ke liye sabse achha option hai duniya ki lagbhag 30% websites wordpress per hi bani hui hoti hai. Vaise to jyadater blogger blogging ko blogger.com se start karte hai aur fir advance label per jane ke baad apni website ko wordpress me tavdeel karte hai lekin aaj ki generation blogging ko sidhe wordpress se start karti hai iska keval ek karan hai ki aap wordpress ka use karke bhi free me website bana sakte ho.

Niche aapko wordpress per free me blog website kaise banate hai ke vare me bataya gaya hai. 

Create website on wordpress :-


Wordpress per website banane ke liye aapko niche diye gaye kuch steps ko follow karna padega jaise -
1. Sabse pehle www.wordpress.com per jana hai aur Getting Started per click karna hai.
2. Fir aapko Start With Blog per click karna hai aur apni website ka name bharna hai. 
3. Start with free per click kare. 


Yah sab karne ke baad aapke samne ek form open ho jayega jisko aapko fill karna hoga Aapka form kuch is tarah se open hoga -


Is form me aapko 4 option dekhne ko mil rahe hai jinko aapko kuch is tarah se bharna hoga jaise -



1. Your email address :- isme aapko apni ek email id ko likh dena hai. 
2. Choose a username :- isme aapko apni website ka name likhna hai.
3. Choose a password :- isme aapko apni email id ka password ko fill karna hai.
4. Continue with Google :- agar aap sidhe google se login karna chahte hai to sabse niche continue with google per click karna hai.

Jaise hi aap in steps ko pura kar dete hai tab aapko apne Gmail account ko open kar lena hai is form me aapne jo email id fill ki thi us per aapko ek mail aayega website activate ka jise aap open kare aur Confirm Now per click karke apni website ko activate kar de. 

Ab aapki  wordpress per blog website bankar ready ho chuki hai jo ki ek free website hai jisme aapko


apkiwebsitekaURL.wordpress.com dekhne ko milega yaha aap wordpress.com ko domain ko purchase karke use apni website per lagakar hata sakte hai. 

Aage me aapko batane vala hu ki blogging se earning kaise hoti hai.

Blogging se earning kaise hoti hai :-


Blogging se earning karne ke liye aapko apni blog ke liye Google Adsense ka ek accoun banana hota hai jiska approval mil jane ke baad aap apni blog me ads ko lagate hai aur jab bhi koi person aapki website per aata hai to use vah ads dikhte hai aur vo un per click karta hai jisse hamari earning hoti hai. Blogging se jo aapki earning hoti hai vo aapki website ke traffic per depend karti hai jitna jyada aapki website per traffic aayega utni jyada aapki earning hogi. 


To dosto aaj ke is post me vas itna hi milte hai kisi next post me tab tak ke liye Jai Hind Jai Bharat.

Agar aapke koi question ya sujhav ho to aap mujhse comments section me puch sakte hai me aapko 24 hours me answer de dunga.


Post a Comment

1 Comments

Give your feedback and ask any questions.

Agar aapka koi question ho jo aap mujhse puchna chahte hai to aap comment karke puch sakte hai ham aapki comment ke liye interested hai aur ham uska jaroor reply karenge.