Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Responsive Advertisement

Apni Blog Ke Liye Meta Description Kaise Generate Kare

Apni Blog website ke liye meta tag, description kaise generate kare janiye puri jankari meri is post me







Hello dosto aaj me is post me aapko batane wala hu ki kaise aap apni blogger website ke liye meta tag description ko generate kar sakte hai aur kaise aap use apni website me enable kar sakte hai kyuki yah aapki blogger website ke liye kaafi jaroori hota hai jisse aapki jo website hai aapka jo blog hai search me aata hai kyuki kya hota hai dosto jab tak aap apni blog ki website ka meta tag description  ko generate nahi karte hai aur use aap apni website me enable nahi karte hai tab tak Google aapki website ke bare me nahi jan pata hai to isliye meta tag description ko generate karna bahut jaroori hota hai jisse hamari website ke bare me Google and Yaaho search engine ko pata chal jata hai aur fir hamari website search list me aane lagti hai.


Kya hai meta tag generater tool :


Yah basically ek tool hota hai jisme 4 option hote hai 
1- Description 
2- Keyword 
3- Author ( optional )
4- Robbot ( All )

Description : jab ham apna blog banate hai tab hame apni blog ka title aur description likhna hota hai description me basically blog ke bare me likha jata hai ki hamari blog kis kis cheez ke bare me jankari deti hai jaise hamara blog tech se sambandhit hai jiska title 'ALLTECH55' hai aur ham is blog ke description me tech se related hi likhenge. 

Keyword : jab hamara blog create ho jata hai tab ham uski setting me jate hai setting me jane ke baad search refrence vale option per click karte hai yaha aapko meta description name ka ek option hota hai jisme ham apni blog se related keyword likhte hai aur yahi basically keyword ya meta tag hote hai.





Author : author me ham blog creator ka name fill karte hai yah optional hai jisko fill kar bhi sakte hai aur nahi bhi. Isme aap chahe to apni blog ka title bhi fill kar sakte hai lekin me aapko suggest karunga ki aap isme apna name fill kare. 

Robbot : robbot ko hamesa all hi rahne de. 


Meta tag, description generate karne ke liye kya kare :


Meta tag generate karne ke liye aapko apne crome browser me meta tag generator tool 'my blogger tricks' type karna hota hai. Uske baad hame ise search kana hai aapke samne bahut sari site open ho jayengi lekin aapko My blogger tricks bali website per click kar dena hai kyuki yah kafi purani website hai aur trusted bhi hai. jisme aapko four option dekhne ko milenge description, keyword, author, robbot aapko in charo ko fill kar dena hai kaha se fill karna hai yah mene aapko upper bata diya hai just aapko create metatags per click kar dena hai. 

Itna karne ke baad aapko niche box me ek code likha aayega aapko is code ko copy kar lena hai code ko aapko kaha se copy karna hai yah aapko us box me bataya jayega. Code ko copy karne ko hi metatag generate karna kahte hai yah code aapko HTML language me likha milega kyuki Google HTML language ko hi samajhta hai. 

Itna karne ke baad aapki website ke liye metatag generate ho jata hai niche me aapko bataunga ki kaise generate kiye hue meta tag ko aap apni website ke liye enable kare.


Generate Metatag ko kaise enable kare:

Metatag ke generate ho jane ke baad aapko blogger me login ho jana hai uske baad aapko apni blog per jakar Theme vale option per click karna hai uske baad aapko apni blog ko Edit HTML ke open kar lena hai.




Uske baad aapka blog HTML me open ho jayega jisme aapko 4 ya 5 number per aapko </head> dekhne ko milega vaha per jakar aapko ek baar enter vale butten ko dva dena hai aur vaha per copy kiye hue code ko paste kar dena hai. 

Itna sab karne ke baad aapko save changes per click kar dena hai aur aapka is tarah se meta tag generate bhi ho jaata hai aur aapki blog website ke upper enable bhi.

Meta tag, description ko generate karne ka benefit :

Meta tag and description ko generate karne ka sabse bada benefit yah hota hai ki Google jo ki sabse bada search engine hai ko aapki website ke bare me pata chal jaata hai aur jab bhi koi aapki website ke Url ko search karta hai to aapki website google me open ho jati hai aur aapki website ke upper  traffic aana kafi had tak shuru ho jata hai.

Iska agla benefit yah hai ki aesa karne se aapki blog website ka SEO ka ek part complete ho jata hai.

Agar aapko yah artical jara sa bhi helpfull laga ho to aap comment box me feedback jaroor chod kar jaye


Post a Comment

0 Comments