Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Responsive Advertisement

Apni Blog Per jyada Traffic Kaise Laye

Apni Blog Per Jyada Traffic Kaise Laye :-

Hello dosto to kaise hai aap log Aaj ke is post me batane vala hu ki aap kis tarah se apni blog per jyada traffic kaise la sakte hai aur kaise Aap apni Blogging se hone vali earning ko increase kar sakte hai, Jab bhi aap apna naya blog banate hai to shuru me aapki Blog per jyada traffic nahi aata hai jiski vajah se aap mayoosh ho jate hai aur uske baad ya to aap Blogging karna hi chod dete hai ya fir aap apni BLOG per post dalna band kar dete hai To me aaj is problem ka solution dhood kar laya hu jisme me aapko shuru se lekar end tak sab kuch batane vala hu Ki kis tarah se aap apni blog per jyada se jyada traffic la sakte hai aur uske liye Aapko kin-kin tips and tricks ko follow karna hai to meri new Blogger se request hai ki ve maayoosh na ho aur blogging me hard work kare to chaliye start karte hai .




Niche Apni Blog per Aane vale traffic ko badhane ke liye kuch tips and tricks diye gaye hai jinhe follow karke aap 100% apni Blog per jyada traffic ko la sakte hai.

Lets Get Started...

1. Basic SEO :-

Jab bhi aap apna koi nya blog banate hai to aapko apni Blog website ko rank karane ke liye sabse pehle apne basic SEO ko complete karna hai, Basic SEO me aapko apni blog ka Title, Description, Meta Description ko research karke ache se pura likh lena hai yah ab aap apne Blogger ke Dashboard me setting me jakar likhna hai dhyan rahe aapko apni Blog ke Description aur Meta Description ko apni Blog ke title se related hi likhna hai Iske baad aapko apni blog ke Title, Description, Meta Description ki help se apni blog website ke liye Meta tag, description ko generate karna hai aur use apni blog ko HTML me karke vaha lagana hai.

Agar aapko nahi pata ki Apni Blog ke liye Meta tag ko kaise generate karte hai aur use apni website me kaha lagate hai To aap niche vali post ko padhkar Meta Tag, description ko easily generate karna aur use apni Blog me kaha per lagana hai yah sikh sakte hai.

Meta tags ko Generate kaise kare  Click here
Free me website kaise banaye       Click here

2. Web Submission :-

Web Submission me apni Blog website ke URL ko alag-alag Search Engine ( jaise Google, Bing, Yandex etc ) me submit karna hota hai  jisse Aapki blog Google, Bing etc me submit ho jati hai jiske baad aapki Blog Google, Bing per Search me aane lagti hai Isliye apni Blog website ko Google, Bing etc Search Engine me submit karna jaroori hota hai.


3. Create Pages :-

Isme aapko apni Blog ke liye pages banane padte hai Vaise to aap apni blog ke liye bahut sare pages create kar sakte hai lekin Aapko apni Blog ke liye 4 pages ko to jaroor banana hai.

1. About US
2. Contact US
3. Disclaimer
4. Privacy Policy

Create kare hue apne in pages ko aapko apni Blog ke sidebar ya fir footbar me lagana hai taki jab bhi koi visiter hamare BLOG per aaye aur In pages er click kare to use Aapke bare me aur aapki website ke bare me pata lag paye Iske alava pages ko create karna, Hamari Blog ko google per rank karane ke liye kafi jyada helpfull sabit hota hai.


4. Create Sitemap And Submit Webmaster Tool :-

Sitemap ko banana se Aapki Blog ke pages aur Post ki jankari Google tak pahuchti hai Ye kaam sitemap ka hota hai Iske alava Sitemap Google ko ye bhi batata hai ki Aapki website per regularly content upload ho rahe hai ya nahi. Sitemap aapki Blog website ki total jankari ko GOOGLE tak pahuchata hai  Ye Blog per new post publish hone ke sath change hota  rahta hai.

1. Sitemap ko kaise banaye aur use webmaster tool me kaise submit kare :-

Apni Blogke liye Sitemap ko banana ke liye sabse pehle apni Blog ke Dashboard me jana hai vaha per aapko setting me jakar search preference vale option per click karna hai jisme aapko Google Search Console dekhne likha hua dekhne ko milega  Vaha per aapko edit per click karna hai yadi aapne apni Blog ke URL ko Google Search Console me submit nahi kiya hai,

 To sabse pehle aapko Apni Blog ke URL ko GSC ( Google search console ) me submit karna hai  Iske baad property me jakar Sitemap.xml likh kar save kar dena hai  Aapka sitemap ban chukka hai aur submit bhi ho chukka hai.

5. Create Backlink for Your website  :-

Yah Blog per traffic badhane ka sabse badhiya tarika hota hai Ise karne ke baad aapki blog per achha khasa traffic aane lagta hai. Agar aap apni Blog website ke liye kisi dusri website se backlink banate hai. jis per pehle se hi bahut jyada traffic aata hai to us website ke visitor aapki website per bhi jayenge aapki post ko padhne ke liye. Backlink banate time dusri website ka creator aapki post ke link ko Apni Post me  daal deta hai.

Aap apni Blog ki wbsite ke liye kisi dusri website jin per already bahut jyada traffic aata hai ( jaise QUARA aur other website per jinka domain high hai  ) vaha se aap Backlink bana sakte hai Iske liye aapko quara per jakar apna account banana hai aur us per active rahna hai aur logo ki question ka answer dena hai aur apni website ke link ko yaha per chod dena hai agar quara aapko Backlink bana deta hai to aapki blog per bahut jyada traffic aata hai.

6. Social Media ki Help :-

Agar aap ek Blogger hai aur Aap apni Blog per aane vale traffic ke liye keval Google per hi depend hai to aap bahut badi galti kar rahe hai  Aaapko apni Blog per traffic badhane ke liye Social Media ki bhi help leni hogi. Iske liye aapko main social media platform jaise Facebook, Twitter, Instagram, YouTube etc ki help lena bahut jaroori hai tabhi aap Apni blog per jyada traffic ko la sakte hai.

Iske liye aapko In sabhi social media platform ke link ko apni Blog website se connect karna hoga Taki jab bhi aap apni Blog per koi new post publish kare to Automaticly aapki post in Social Media platform per bhi publish ho jaye aur jab bhi koi visitor aapki us post ko open kare to vah aapki website per pahuch jaye  Social media platform ki madad se ham apni Blog per kafi jyada traffic la sakte hai.

7. Guest Posting :-

Yah Backlink generate karne ka ik tarika hota hai kafi website aesi hoti hai jo pehle aapse Guest Post likhwati hai uske baad Aapko Backlink banakar deti hai. Jise guest posting kahte hai. Is method se high qualityki Backlink banti hai aur unse aane val traffic kafi jyada hota hai.
Guest Post me aapko ek post likhni  hoti hai Aur usme apni website ke link ko dena hota hai Agar dusri website ke creator ( jiske liye aap guest post likh rahe hai ) ko passand  aati hai to vah aapki website ke link ko apni blog ke kisi post me laga deta hai aur aapki backlink ban kar ready ho jati hai .
Ab jab bhi koi visitor us website per aata hai to vah Aapki post ko padhna aapki website per bhi aayega Is tarah kafi jyada traffic Aapki Blog per Aata hai.

8. YouTube Channel :-

Agar aapka ek YouTube channel hai aur us per jyada subscriber hai  to Aap apne YouTube channel se Apne Blog per achha khasa  Traffic la sakte hai iske liye aapko apne YouTube channel per videos me apni Blog ke vare me bata sakte hai ki aap kis type ki knowledge ko share karte hai Jisse kafi sare visitor Aapki Blog per us knowledge ko lene ke liye jate hai. Jisse aapki Blog per traffic increase hota chala jata hai.

9. Create page of Question & Answer :-

Jyadatar Blogger question & answer ka pages nahi banate hai jo ki ek bahut badi mistake kar rahe hai Agar aapko apni Blog per traffic lana hai to aapko is page ko jaroor banana chahiye .
Question & Answer ke page aapka visitor aapse question puch sakta hai aur aapko uske question ka answer dena hai jisse aapke aur visitor ke vich me combination banta  hai aur Agar aap visitor ke question ka answer dete hai to vahi visitor Aapki website per fir se aayega apne question ka answer dhudne ke liye jisse aapki Blog per visitor bahut jyadaa badhte hai.

10. Facebook Booster :-

Yah apni website ko promote karne ka tarika hota hai jisse Aapki website per bahut jyada traffic Aata hai  Iske liye aapko facebook per apna ek page banana hai aur vaha per apni website ka URL dalna hai. Uske baad aapke Facebook page per booster ka option Aata hai.
jaha per aapko kuch rupees dekar Faceook Booster se apne facebook page ko promote karana hai. Facebook Booster, facebook per aapke page and website ki ads ko dikhata hai  Jisse aapki Blog per jyada Traffic generate hota hai.



To dosto ye kuch tips aur tricks thi jinko use karke aap apni Blog per jyada Traffic la sakte hai, Ummed karta hu aapko yah post pasand aaya hoga  Agar aapka koi question ho to Aap comment karke puch sakte hai Ham aapko reply jaroor karenge. To dosto milte hai kisi new post ke saath tab tak ke liye GOOD BAY .

Post a Comment

0 Comments