Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Responsive Advertisement

SBI ATM PIN ko create or change kaise kare

SBI ATM PIN ko generate or change kaise kare :- 

Agar aapka bhi SBI ( State Bank Of India )   me account hai aur aap ATM ka use karte hai to aapko bhi ATM ke PIN ko generate karne ki jaroorat jaroor padi hogi   Aaj ham aese 4 tareeko ( methods ) ke bare me batane vale hai jinme se aap kisi ka bhi use karke ATM ke PIN ko generate kar sakte hai. 
Taki jisne bhi apna  SBI ka new ATM banwaya hai wo easily apne ATM ke PIN ko generate kar sake aur apne ATM ko chalu kar sake. Niche me inhi 4 methods ke bare me bataunga. 





Easy Methods for SBI ATM PIN generation :-

SBI ATM ke PIN ko generate karne ke 4 tarike hote hai jo is tarah se hai -

1. ATM PIN Generation through ATM. 
2. ATM PIN Generation through SMS. 
3. ATM PIN Generation through internet Banking. 
4. ATM PIN Generation through IVRS. 

Filhal SBI ke ATM PIN ko generate karne ke liye bank ki taraf se keval yahi 4 option diye gaye hai jinke bare me ham aage discuss karenge -



1. ATM PIN Generation through ATM :-


ATM ke dvara ATM PIN generate karne ke liye aapko apne aaspas ke kisi najdiki ATM per jana hoga, jaha per jakar aapko kuch steps ko follow karte hue apne ATM ke PIN ko generate karna hai jo kuch is tarah se hai - 

• Sabse pehle aapko kisi bhi SBI ATM per jakar apne Debit Card ko ATM ke andar insert karna hoga. 

• Uske baad aapko Select 'PIN Generation' vale butten ko davana hai. 

• Apne 11 digit ke SBI account number ko fill karne ke baad Confirm vale butten per click kare.

• Apne 10 digit ke registered mobile number ko dalne ke baad Confirm per click kare.

• Uske baad aapke us mobile number per ek SMS aayega jisme ek PIN likha hua aayega jo ki ATM ki screen per bhi vahi PIN dikhai dega, Aapko us PIN ko match karna hai ki vah dono same hai ya nahi, agar same hai to confirm per fir se click kare.

• Aapke mobile number per jo PIN aaya hai vah keval 2 din ke liye valid hoga. 

• Uske baad aapko  inhi 2 dino me apne PIN ko change karna hai jisko aap ATM me PIN change vale option per click karke ek naya PIN create kar lena hai.

2. ATM PIN Generation through SMS :-


Aap apne SBI ATM ke PIN ko SMS ke dvara bhi generate kar sakte hai yah option bhi SBI Bank ne apne coustmers ko de rakha hai. Iske liye aapko kuch simple steps ko follow karke apne ATM PIN ko bnana hoga jaise -

•  Sabse pehle aapko 567676 number per apne registered mobile number se ek SMS karna hoga jo kuch is tarah se hai -

           PIN<space>CCCC<space>AAAA 

Jaha CCCC aapke Debit Card number  ke 4 last ke digits hai aur AAAA  aapke SBI account number ke last ke 4 digits hai.

Example :- Agar aapka PIN 16505687 hai to ham kah sakte hai ki 1650 yaha per aapke Debit Card number ke antim 4 ank hai aur 5687 yaha per aapke account number ke antim  4 ank hai . 

• Iske baad aapke registered mobile number ek OTP aayega jisme aapko aapke ATM ka ek PIN diya hoga yah PIN keval 2 din ke liye valid hoga. 
Inhi 2 dino me Is PIN ko kisi SBI ATM per jakar PIN change vale option per click karke apne ATM PIN ko change kar lena hai.


3. ATM PIN Generation through internet Banking :-

Agar aap internet Banking ka use karte hai to aapke liye ATM PIN ko banana bahut hi aasan hoga. Internet Banking se aap kuch simple steps ko follow karke apna ATM PIN bna sakte hai jaise -




• Sabse pehle https://www.onlinesbi.com per  jakar apni internet Banking ki User ID aur password se login karna hai. 

• Fir aapko e-services, ATM Card services, ATM PIN generation me se ATM PIN generation ko select kar lena hai.

• Uske baad aapko apne profile password ka use karke ATM PIN generation service ko open karna hai.

• Uske baad apne us account number ko select karna hai jisse aapka Debit Card link hai.

• Uske baad aapko us Debit Card ko select karna hai jiske PIN ko aap create karna  ya change karna chahte hai. 

• Uske baad aapko PIN ke pehle  2 digit ko enter karna hai jo PIN aap create karna chahte hai iske baad last ke 2 digit aapke registered mobile number per send kar diye jayenge.

• in sabhi 4 digit ko milakar ( jisme pehle ke 2 digit aapne khud chune hai aur last ke 2 digit aapke registered mobile number per bheje gaye hai ) unko yaha per Enter kar dena hai aur Confirm per click kar dena hai.

Yahi 4 digit aapke ATM ka new PIN hoga. 


4. ATM PIN Generation through IVRS :-

IVRS se ATM PIN ko generate karna bahut hi aasan hota hai, iske liye aapko niche diye gaye steps ko follow karna hoga jaise -

• Apne registered mobile number se Bank's contact center ( 18004253800 ) per call kare.

• Iske baad aap apna full Debit Card number aur account number ko enter kare.

• Iske baad aapke registered mobile number per ek OTP aayega jisme aapko aapke ATM Card ka PIN likha hua hoga. 
Yah PIN keval 2 din ke liye valid hoga inhi 2 dino ke andar aapko kisi nazdiki SBI ATM per jakar PIN change vale option per click karke apne PIN ko change karna hoga. 


               Important for All Readers 

ATM PIN ko generate karne se pehle aap aap iski shuraksha ke bare me jaan le jaise aapko ATM PIN ko generate karte time kisi ko bhi apna ATM PIN nahi batana hai. Aur ATM se related sabhi savdhaniyo ko pehle jaan lena hai. Ye sabhi guidelines aapko ATM book me mil jayengi inko padhne ke baad tabhi aap ATM PIN ko generate kare.

Agar is post se related aapka koi bhi question ya sujhav ho to aap comment karke jaroor bataye me jaroor reply karunga. 

                  JAI HIND JAI BHARAT

                  




Post a Comment

1 Comments

Give your feedback and ask any questions.

Agar aapka koi question ho jo aap mujhse puchna chahte hai to aap comment karke puch sakte hai ham aapki comment ke liye interested hai aur ham uska jaroor reply karenge.