Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Responsive Advertisement

Top 5 Youtube channel Categories in india 2020 for future plans

Top 5 Youtube channel Categories  in india 2020 for future plans :-


Agar Aap bhi Apne man me ek youtuber ka sapna lekar ek youtube channel ko start karne jaa rahe ho to jara ruko kyuki koi bhi  youtube channel start karne se pehle uske youtube per scope aur future ko janna bahut jaroori hota hai, Jiske liye aaj ham is post me Top 5 YouTube channel categories ke bare me  aur unke future me kya - kya scope hai ke bare me batane vale hai Jisse ki Aap jab bhi Apna  ek YouTube channel start kare Tab Aapko ek motivation mil paye aur Aap Us YouTube channel per apne tallent ke saath hard work karke ek safal  YouTuber ban paye. Kyuki Aaj ki date me YouTube per Competition bahut hai Isliye YouTube per channel create karne se pehle aur vaha per work karne se pehle full planning karna  bahut Jaroori hai jisse Aap kam samay me ek safal YouTuber ban paye.


Aage ham 'Top 5 YouTube channel categories in india 2020 for future plans' ke bare me batane vale hai jinka Aaj ke time me aur future me bhi bahut scope hai.

1. Roshting Comedy  YouTube channel :-


Aaj ki date me Roshting Comedy channel india ka no.  1 Youtube channel mana jata hai kyuki pichle 1 saal se Roshting video ko india me jyada dekha ja raha hai aur unhe pasand bhi kiya ja raha hai  jab se Carryminati ki YouTube Vs Tiktok The End video aayi hai tab se Roshting comedy YouTube channel Best channel ban gaya hai aur ise log jyada dekhna pasand karte hai.

Abhi hamne kuch din pehle dekha ki Carryminati ki YouTube vs Tiktok The End video ne kitna dhamal machaya tha aur kitne sare record ko break kiya tha, Yadi Aapko Achhe dialogue likhne aur bolne aate hai To Aap roshting channel banao aur us per roshting video upload karo Agar Aapki ek bhi video chal gayi to Aapko vah video kam samay me bahut bda YouTuber bana degi.

Example :- Carryminati, Alvish Yadav


2. Comedy Channel :-


Agar aapko logo ka comedy karke  entertainment karna aata hai to Aapko YouTube per comedy channel banana chahiye isme kafi jyada scope hai India ke most popular YouTuber Amit Bhadana aur BB ki vines ( Bhuwan Bam ) bhi apne channel per Comedy video dalte hai aur unke aaj ke time me millions me views Aate hai.

Jyadatar log jab Bor hote hai to vah YouTube per jakar Comedy video dekhna jyada pasand karte hai aur vah Aapke face ko nahi Aapke talent ko dekhte hai Agar Aapka content full entertainment hai to vah Aapke channel ko jaroor subscribe karenge aur video ko like bhi karenge. Isliye hamne Comedy channel ko 2nd no. Per rakha hai.

Example :- Amit Bhadana, BB ki vines etc

3. Technical Channel :-


Technical channel YouTube ki ek aesi category hai jisme Agar aap success ho jate ho To isme sabse jyada earning hoti hai.
India ke top YouTuber 'Technical Guruji' (Gaurav Chaudhary )  iska ek example hai inke YouTube channel per around  17 million subscribers hai aur vah india ke most popular YouTuber hai aur unke channel ka name 'Technical Guruji' hai  Is channel per Gaurav mobile phones, new product review, etc se related video dalte hai. Aur isse vah bahut jyada earning karte hai halaki unke Dubai me aur bhi Business hai.

To  Aap ek Technical channel start kar sakte hai jisme aap technology se related tips and tricks bata sakte hai Yah earning ke liye No. 1 YouTube channel hai kyuki isse Affiliate Marketing, Sponsorship, etc aur bhi bahut sare platform se earning kar sakte hai.


4. Motivational Channel :-


Motivational channel ko hamne 4th no. Per rakha hai. Agar Aap logo ki kisi kaam ko karne ke liye Achhe se motivate kar sakte ho to is tarah ka  channel Aapko jaroor banana chahiye. Isme earning bhi achhi hoti hai Agar aap ek achhe motivational speaker ban jate ho to Aapko Alag - Alag universities aur IIT me students ko motivate karne ke liye bulaya jata hai aur yah colleges iske liye lakhs me payment karti hai.

Dr.Vivek Bindra aur Himeesh Madan iska ek jita jagta example hai jinko IIT and other universities me seminar ke liye bulaya jata hai aur vah ek seminar ke kai lakh rupees lete hai. Ye dono YouTuber hai aur yah Apne channel per motivational  video upload karte hai.

5. Gaming YouTube Channel :-


Agar aapko Game khelna pasand hai ya fir yah aapki hobbies hai to Aapko gaming channel jaroor banana chahiye yah ek ubharta hua field hai YouTube per gaming channel me competition bhi kam hai aur scope bhi bahut jyada hai. Log gaming videos ko dekhna bahut pasand kar rahe hai aur un videos me gaming se related answer bhi dhoodte rahte hai. Jyadatar log PUBG, FREE FIRE, Call of duty, etc jaise gaming videos ko jyada dekhna pasand karte hai.

Isliye Aap ek gaming channel start karke us per logo ko gaming ke vare me bata sakte hai aur Aap jo bhi game khelte hai uski live streem bhi chala sakte hai.

Aaj ke time me Gaming channel per bhi millions me views Aate hai aur unke subscribers bhi tezi se badh rahe hai.

Example :- Carryislive, Total gaming etc YouTube channel aese haibjin per millions me views Aate hai aur inke subscribers bhi  bahut jyada badh rahe hai. Log inke saath gaming me collab karte hai aur kafi sara injoy karte hai.
Iske alava asp gaming ke Alag - Alag tournaments me participate karke Apne talent ka use karke dher sare paise kama sakte hai bahut se tournament aese hai jinme lakhs me prices hote hai.

To ye hai india ki Top 5 YouTube channel categories jinme aap Apne talent ko dekhte hue kisi se bhi related YouTube channel bana sakte hai aur puri planning ke saath YouTube per work karke ek successfull YouTuber ban sakte hai.

Agar Aapka koi sawal ya sujhav ho to aap mujhse comment box me puch sakte hai ham Aapko 24 hours me answer de dunga. 

Post a Comment

0 Comments