Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Responsive Advertisement

5 Big Mistake Jo Ek New YouTuber Ko Nahi Karni Chahiye

5 Big Mistake Jo Ek New YouTuber Ko Nahi Karni Chahiye:-


Hello Dosto kaise ho Aap log I hope sabhi thik honge Aaj is post me ham Aapko New YouTuber ke dvara shuru me ki gayi 5 Biggest Mistake ke bare me batane vale hai jo har ek YouTuber karta hai Jiske karan unhe YouTubr per safal hone me kafi samay lag jata hai ya fir bahut se YouTuber safal hi nahi ho pate aur nirash hokar baith jate hai Agar Aap ek safal YouTuber banna chahte hai to Aapko in 10 badi galtiyo ko nahi karna hai Agar aap in galtiyo ko shuru me nahi karte hai To Aap kam samay me ek bade aur safal YouTuber ban sakte hai.
Niche 5 Big Mistake of New YouTuber km  bare me bataya gaya hai -

1. Select Topic For Your Channel :-


Bahut se YouTuber is galti ko bar-bar dohrate hai Jyadatar new YouTuber is galti ko karte hai ve apne YouTube Channel per har tarah ki video dalte rahte hai Agar Aapko ek safal YouTuber banna hai To sabse pehle Aapko apne channel ka topic chunna hai aur usi se related videos ko apne channel per upload karna hai.
Example - Agar Aapka ek comedy channel YouTube per hai To aapko us channel per comedy video hi dalni hai us channel per tech, gaming ya other category ki video dalne se Aapka channel jaldi grow nahi kar payega aur Aap YouTube per Apni ek khas pehchan nahi bana payoge To sabse pehle aapko apne channel ke liye topic select karna hai aur fir usi topic se related video apne channel per upload karni hai.
Jis field me aapka interest ho usi topic ko aap apne channel ke liye select kare kyuki aap apne interest ki video achhe tarike se bana payoge.


2.Upload Regular Video on Your channel :-


Agar aapne abhi ek new YouTube channel banaya hai To Aapko Apne channel per regular video upload karni hongi Bahut se YouTuber Is mistake ko bar- bar karte hai vo apne channel per regular video upload nahi karte jisse unke channel per views nahi aate hai aur YouTube Aapki videos ko suggestion me nahi lata hai aur Aapko YouTube per safal hone me kafi time lag jata hai, Agar aap jaldi hi YouTube per success pana chahte hai to aapko apne YouTube channel per daily video upload karna hoga.  Regular video upload karne ka ek bda fayda yah hota hai ki Aapki aane vali new video aapke Aapke subscriber ya fir jinhone Aapki video pehle del  hai unke Browser ke suggestion me Aane lagti hai aur isse aapki video per views Aane ki possibility badh jati hai Isliye jab bhi Aap Apna New YouTube channel banaye to us per regular video upload kare.

3. Upload Unique Content on Your Channel :-


Jyadatar New YouTuber views aur subscribers pane ke liye Is galti ko karte rahte hai jo Aapko nahi karni chahiye. New YouTuber apne channel per dusra channel ki video ya koi filmy music ya fir copyright content ko apne channel per video banane ke liye use karte hai jiski vajah se unke channel per shuru me hi Copyright Strike aa jata hai jo aapke Youtube channel ke liye harmful hota hai jisse aapke channel delete ya monetization disable hone ka dar rahta hai.
Agar aapko sach me ek safal YouTuber banna hai To aapko apne channel per unique video dalni hai Aapko kisi dusre ki video ko copy nahi karna hai aur na hi usme kisi bhi tarah ka Copyright background music ya fir content use nahi karna hai.

4. Self Confidence Na Hona :-


Bahut se new YouTuber jab unki video per views nahi Aate hai to vo nirash hokar vaith jate hai ya fir vo YouTube per video banana hi chod dete hai Lekin Agar aap sach me ek safal YouTuber banna chahte hai aur abhi aap ek naye YouTuber hai to aapko aesa nahi karna chahiye Aapko Apne Aap per aur apne kaam per bharosa rakhna hai aur apne aap me ek self confidence banakar rakhna hai Aapko yah sochkar video banani hai ki aaj nahi to kal me ek bada YouTuber banunga aur meri videos per bhi achhe views aaya karenge Aapko apne aap ko self motivate karna hai.

5. Apne YouTube Channel Ki setteng Na karna :-


New YouTuber ko pata hi nahi hota hai ki video dalne ke alava bhi Aapko apne channel per aur kuch bhi kaam karna hai keval video dalne se hi koi bda YouTuber nahi ban jata Agar Aapko bada YouTuber banna hai To aapko apne YouTube channel ki kuch basic aur advance setteng karni hogi jisse aap YouTube per kam samay me achhi safalta hasil kar sako.
Setting karne ke liye aapko apne channel per video upload karte samay video ka title, description, tags ke bare me jyada dhyan dena hoga aur bhi bahut sari settings hai aap YouTube per jakar dekh sakte hai aur usse apne channel ki full setting kar sakte hai jisse aapka channel aur aapki video search me aane lage jisse aapke channel per views aur subscriber dono aayenge.


Agar Aapka koi sawal ya sujhav ho to aap comment karke puch sakte hai Ham Aapko 24 hours me Answer de denge.

Post a Comment

0 Comments