Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Responsive Advertisement

Online paise kamane ke 4 best tarike hindi me, 4 Best ways to earn money from online


Online Paise kamane ke 4 sabse Aasan tarike.

ALLTECH55

Hello dosto to kaise hai aap log Aaj is post me ham baat karenge 4 aese tariko ke bare me jinse aap ghar baithe online  paise kama sakte hai aur vo bhi vina kisi investment aur vina kisi physical problem ko face kare. Agar aap in 10 tariko me se kisi ek per bhi achhe se action lete hai aur us per hard work karte hai To me dave ke saath kah sakta hu ki aap khali haath to yaha se nahi lotoge Aur agar aap inme se kisi per achhi safalta pa lete ho to aapko yaha se itna paisa milne wala hai ki aap  Kisi government ya private job me bhi nahi kama sakte. Bas Aapko jarurat hai hard work karne ki aur apne kaam me thoda  passions rakhne ki.

Ye jo tarike me aapko batane ja raha hu un per kaam karne ke liye aapke paas physically aapka smartphone aur usme internet ka recharge hona chahiye kyuki aap yaha per jo bhi kaam karoge vo online hoga,  agar aapke paas laptop ya fir apna personal computer hai to yah aapke liye kafi better sabit ho sakta hai. To chaliye jante hai 4 sabse best online tariko ke bare me -

Lets get start...

4 Ways of online earning -



1. Blogging :- 


How to earn money from Blogging in hindi -

Dosto agar aap ek student hai ya fir aap kam se kam itna to padhe likhe hai ki aapko  hindi ya english me typing  karna achhe se Aata hai,   To yah aapke liye sabse best option sabit ho sakta hai. Blogging me aapko apni ek website banani hoti hai aur us website per Aartical likhkar post karne hote hai, Artical  ko aap hindi ya english kisi bhi language me likh sakte hai  In articals ko aap usi topic ke bare me likhe jiske bare me aapko already knowledge ho kisi dusre ke Artical ko copy na kare Kyuki agar aap kisi aur website ke Artical ko copy karke Apni website per post karte hai to Aapki website per copyright Aa sakta hai. Blogging ke liye website aap free me bhi bana sakte hai Agar aapko website banana nahi Aata hai to Aap niche diye gaye post link per click karke Us  post ko padhkar website banana sikh sakte hai.

Free me website kaise banaye  -    Click here

Is post ko padhne baad Aap apni blog ke liye website banana aur Blogging se earning kaise hoti hai yah sab sikh jayenge.
Jab Aap apni website bana lete hai To aapko apni us website per post likhni hoti hai aur unhe publish karna hota hai jaise - jaise aapki us website per traffic badhta chala jata hai vaise - vaise aapki earning bhi badhti chali jati hai Apni website per traffic ko kaise badhate hai janne ke liye aap niche di gayi post ke link per click karke us post ko padhkar traffic increase karne ke  Aasan tips ke bare me sikh sakte hai.

Website per SEO karke traffic kaise laye - Click here

Is post me mene 10 Aesi SEO based tips and tricks batayi hai jinko follow karke aap thousand me apni website per traffic la sakte hai.

Blogging Se kitni Earning Hoti Hai :-


How much money earn from Blogging -

Agar ham baat kare blogging se hone wali earning ke bare me to aapki website per Google Adsense ka approval milne ke baad aap Apni blog ki website se 50$ - 10000$ per month tak kama sakte hai. Yah totally aapki website ke upper aane wale visitors ke upper depend karta hai. To Agar aapko Aartical likhne ka shok hai  Ya fir Aapko kisi bhi department ke bare me achhi knowledge hai To yah option  Aapke liye bahut badi opportunity sabit ho sakta hai ( A big opportunity for you ).

2. YouTube :-


How to earn money from YouTube -

Youtube Online paise kamane ka dusra sabse achha tarika hai  Agar aapko kisi bhi field me achhi knowledge hai to Aap us field se related Apna ek Youtube channel bana sakte hai suppose Aap logo ka entertainment kar sakte hai To Aap youtube per ek Comedy channel bana sakte hai Yadi Aapko technology field me jyada interest hai To Aap ek Tech channel create kar sakte hai. To Is tarah se Aap apne tallent ke hisab se Youtube channel bana sakte hai. 

Agar aapme tallent hai to aap yaha per 100% success ho jayenge kyuki ek Youtube hi aesa platform hai jisne logo ko zero se hero banaya hai Iske sath hi Aap youtube per famous bhi ho sakte hai.

Youtube Se Kitni Earning Hoti Hai :-


How much money earn from YouTube -

Aaj bhi india me kai Aese YouTuber  hai jo full time is job ko kar rahe hai Aur unki income kisi celebrity se kam nahi hai, log india me Youtube se per month 100$ - 15000$ tak kama rahe hai Jinme india ke most famous Youtuber Amit Bhadana, Carryminati, BB ki vines, Technical Guruji etc hai  Jinks  income per month 10 lacs ya isse bhi kahi jyada hai.

To Agar Aap logo me tallent aur aur apne kaam ke liye junoon hai To yah aapke liye Apni Takdeer ko change karne vala faisla ho sakta hai.

Aapko shuru me yaha per time lagega safalta pane me lekin ek baar Aap yaha per success ho gaye to Aap apne Aapko koi Bollywood Actor maanne lago to usme koi buri baat nahi hogi kyuki yaha per ek famous Youtuber ban jane ke baad vo sabkuch milta hai jo ek Bollywood Actor ko milta hai Aapko yaha per Dolat, sohrat dono milta hai.

Agar Aap ek successful Youtuber banna chahte hai to Aapko sabse pehle Apne kaam ko preference dena hoga na ki paiso ko jab aap yaha success ho jaoge to paisa Aapke paas khud hi aa jayega. Aur yaha per Aapko thoda passions bhi rakhna padega.

3. Affiliate Marketing :- 


How to earn money from Affiliate Marketing -


Agar Aap facebook chalate hai aur aapki vaha per fan following jyada hai ya fir Aapki koi website ya Youtube channel hai to Aap Affiliate Marketing se bhi bahut jyada paisa kama sakte hai per iske liye jaroori hai ki Aapki website ya Youtube channel per daily  viewers jyada Aane chahiye.

Affiliate Marketing me Aapko Amazon, filipkart, Snapdeel etc jaisi website se affiliate ka account banana padta hai jisse Aap us website per Affiliate bante hai.
Agar Aapko Amazon ya Filipkart jaisi website per Affiliate program ka account banana nahi Aata hai To Aap niche di gayi post per click karke Affiliate Program ka account create karna sikh sakte hai -

Amazon affiliate program account kaise banaye    -    Click here

Affiliate program ka account banjane ke baad Aap us website per affiliate ban jate ho Ab ( As a affiliate)  Aapko Amazon, filipkart website se Aap  unke kisi bhi product ki link ko le sakte ho Aur use social media, Apni website ki kisi post me, Apne youtube channel ke description me   us product ki link daal sakte aur youtube per video ke dvara us product ke bare me bata sakte ho,

Ab jab bhi koi Aapki us link se Amazon, Filipkart company se koi bhi product ko buy karta hai to Aapko us product ke total price ka 10% commission milta hai To Is tarah se Affiliate Marketing se earning hoti hai.

Affiliate Marketing Se Kitni Earning Hoti Hai :-


How much money earn from Affiliate Marketing -


Agar ham baat kare Affiliate marketing se hone vali earning ke bare me to Aap jitna socho utna kam hai kyuki isme koi fix earning nahi hota hai  Yah totaly aapke dvara sell karvaye gaye product ke upper depend karta hai ki Aapne kitne product sell karvaye aur kitni kimat tak ke product ko sell karvaya.

Kafi sare Aese Affiliate Marketor hai jo Affiliate marketing se per month 10 lacs ya isse jyada kamate hai jaise Saurabh Bhatnagar etc.

To Agar Aap is field me success hona chahte hai logo ka network hona bahut jaruri hai jitna bada Aapka network hoga Utne jyada unme se log product ko buy karenge aur utni hi jyada Aapki income hogi.
Affiliate marketing ko Aap Facebook, YouTube, Instagram,  Whatsapp etc social media per bhi kar sakte ho ya fir Aap Blogging karte ho Aur Aapki website per traffic jyada Aata hai Tab bhi Aap Blogging ke saath - saath Affiliate Marketing kar sakte ho.  Keval Aapko Apne affiliate account se product ki link ko copy karna hai aur Social Media per share karna hai.


4. Freelancing :-


How to make money from freelancing website -


 Aaj kal yah ek trend chal gaya hai log office jane ki wajah ghar per rahkar kaam karna pasand kar rahe hai vo apni services ko apni skills ko online bech ( sell  kar ) rahe hai Aur aese me unhe muhmangi kimat bhi mil rahi hai  Aur unhe na to time per uthna padta hai aur na hi Apne Boss ki fatkar sunni padti hai ve Apni man marzi ke mutabik kaam karte hai. Janiye kya hai puri haqikat.

Freelancing ek aesi job hai jisme aap per kuch bhi aata ho jaise Web designing, web development, Digital Marketing, SEO ( search engine optimization ), Content writing, Data Entry etc kuch bhi ho usse  Aap dusre logo ko online service provide karakr paisa kama sakte hai Iske liye Aapko Best freelancing website jaise Freelancer, Upwork etc per Apna account banana padta hai aur usme apni job ke bare me fill karna padta hai jaise Aap Data entry ki job chahte ho ya Digital marketing ki inme se Aap usi ko fill karna chahiye jisme aapko achhi knowledge ho aur usme kuch experience bhi ho.

Freelancing ko Aap part time ya full timr ke liye me kar sakte ho isme Aapko select karna hota hai ki Aap hours ke hisab se kaam karna chahte ho ya fir project ke hisab se.

Freelancing Se Kitni Earning Hoti Hai :-


How muh money earn from Freelancing website -


Agar ham baat kare  freelancer ki earning ke bare me to ye totally freelancer ke experience, feedback aur job ke upper depend karti hai ki Aapki job kis category ki hai yadi aapki job Digital Marketing ya Web Designer& Development se related hai to yaha per Aapko 3$ - 50$ per hour ya Isse jyada bhi milta hai. Kaafi sare Aese log hai jo freelancing se 3 ya 4 ghante kaam karke bahut jyada paisa kama rahe hai.

To Agar aap freelancer bankar part time ya full time me paise kamana chahte hai to yah bahut badhiya option ho sakta hai, Agar Aapke paas koi bhi skills hai to Aap is field me kaam kar sakte hai Badi - Badi companies  Jo USA, Canada, Japan me hai vo Aapko hire karti hai Aur Aapko per hour ke hisab se paise deti hai.

Trusted Website for Freelancing :-


Freelancer banne ke liye kuch trusted website hai jaise -

1. Freelancer.com
2. Upwork.com

Ye kaafi trusted aur purani website hai jin per Companies freelancer ko payment deti hai. To agar dosto aap freelancing me success ho jate ho to aap ghar baithe apne laptop and mobile phone se paise kama paoge.


Agar Aapka koi question ho jo Aap hamse puchna chahte ho to Aap comment section me puch sakte hai  Ham Aapke question ka 24 hours me answer de denge.


                                                                  Thanks For Reading....

Post a Comment

0 Comments